jo log ujale ka sab ko paigham sunane aate hain

jo log ujale ka sab ko paigham sunane aate hain
in shab-zadon ki nagri mein wo suli par chadh jate hain

ai mere khuda kuchh tu hi bata ye daur-e-alam kab guzrega
is basti mein to musannif bhi sach kahne se ghabraate hain

is duniya mein apni khatir ek lamha bhi khushiyon ka nahin
fariyaad ki bas ab hum hi hain jo ranj pe ranj uthate hain

is shahr ke jitne basi hain wo gunge bahre hain warna
un par bhi khule ye ahl-e-qalam likhte hain ya chillate hain

is daur ke baad jo daur naya duniya mein aane wala hai
hum 'rajas' chup ki pasti mein us daur ke naghme gate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close