kya aise kam-suKHan se koi guftugu kare

kya aise kam-sukhan se koi guftugu kare
jo mustaqil sukut se dil ko lahu kare

ab to hamein bhi tark-e-marasim ka dukh nahin
par dil ye chahta hai ki aaghaz tu kare

tere baghair bhi to ghanimat hai zindagi
khud ko ganwa ke kaun teri justuju kare

ab to ye aarzu hai ki wo zakhm khaiye
ta-zindagi ye dil na koi aarzu kare

tujh ko bhula ke dil hai wo sharminda-e-nazar
ab koi hadsa hi tere ru-ba-ru kare

chup-chap apni aag mein jalte raho 'faraaz'
duniya to arz-e-haal se be-abru kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close