kya bataen kya kamaya ishq mein dard hai dil mein na aankhon mein nami qurb mein jis ke guzare roz-o-shab ajnabi hai itne barson baad bhi tha mere dil mein kabhi us ka makan main ne jis ko dur se aawaz di ab to wo mausam purane ho gae ab to wo baaten hain sari khwab ki rabt 'jauhar' un se itna rah gaya phone ki ghanti baji bajti rahi