kya chaha tha kya socha tha kya guzri kya baat hui

kya chaha tha kya socha tha kya guzri kya baat hui
dil bhi tuta ghar bhi chhuta ruswai bhi sath hui

wo kya jaane us se bichhad ke hum par kya kya guzri hai
sahra jaisa din ka aalam parbat jaisi raat hui

us ke khat ko kaise padhun main sare lafz to bhige hain
meri chhat par baadal chhae us ke ghar barsat hui

yun khoe hum yaad mein us ki goya khud ko bhul gae
kisi khabar hai kab din nikla kise pata kab raat hui

dil ke pyase aangan mein kal yaad ke baadal yun aae
der talak ye tan-man bhiga be-mausam barsat hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close