kya dua-e-farsuda harf-e-be-asar mangun tishnagi mein jine ka ab koi hunar mangun dhup dhup chal kar bhi jab thake na ham-rahi kaise apni khatir main saya-e-shajar mangun aaina-nawazi se kuchh nahin hua hasil khud bane jo aaina ab wahi hunar mangun ek taraf tassub hai ek taraf riya-kari aisi be-panahi mein kya sukun ka ghar mangun meri zindagi mein jo bat na jae khanon mein mil sake to main aisa koi baam-o-dar mangun lamha lamha tezi se ab zamin khisakti hai khud safar ka aalam hai kya koi safar mangun be-talab hi deta hai jab 'zahir' wo sab kuchh kis liye main phir us se jins-e-mo'atabar mangun