kya farogh-e-bazm us mah-ru ka shab sad-rang tha shama nahin sharminda aur mah dekh rukh ko dang tha kyun na rakhkhun dagh dil par jaise lala dar-e-chaman khal ghair-e-fam us rukhsar par gul-rang tha sharmgin aankhon se jis jaanib ko padti hai nazar nazuki shamshir se bismil pe arsa tang tha qatl mein aashiq ke shab ko kya tujhe takhir hai shor ghul tha dhum thi aur izhdiham aahang tha aah zari par kisi ki wo na karta tha khayal gosh-e-zad-awaz us dam dholak-o-mirdang tha ho gaya mahw-e-tamasha ghair ki mahfil mein kyun ghair tere dil mera jyun shisha waqf-e-sang tha 'afridi' ishq ke bais haya jati rahi kya hua tere tain dawa jo nam-o-nang tha