ghunche ne taj gul ne kiya pairahan durust

ghunche ne taj gul ne kiya pairahan durust
shadi bahaar ki hai hua hai chaman durust

paigham-e-rustkhez hai aamad bahaar ki
mar kar hui hai nargis-e-bimar tandurust

rakkha dahan-e-tang ne matlab ko na-tamam
nikla tumhaare munh se na koi sukhan durust

gul jalwa-gar hain aamad-e-fasl-e-bahaar hai
kar baghban nasheb-o-faraaz-e-chaman durust

paiwand-e-mehr-o-mah lagata hai roz-o-shab
karta hai charkh-e-pir rida-e-kuhan durust

dast-e-junun ne qaid-e-talluq se di najat
pahuncha na ek ta-ba-gulu pairahan durust

karti hai jama baad-e-saba khak muntashir
hota hai phir nishan-e-mazar-e-kuhan durust

hoti hain josh-e-ishq mein jo jo shikayaten
kahta hai naz se wo but-e-sim-tan durust

farhad ne fareb-e-mohabbat mein jaan di
samjha ki hai muamala-e-pir-zan durust

saqi bhala ho khair subu koi jam de
rakkhe khuda hamesha teri anjuman durust

nahaq kharash zakhm ki deta hai zinaten
karta hai shana zulf-e-but-e-sim-tan durust

kis rashk-e-gul ki shohrat-e-nazzargi hai aaj
karte hain ghuncha-ha-e-chaman pairahan durust

zang-e-dui se aaina-e-dil hai pak-o-saf
rahta hai apna gosha-e-bait-ul-huzn durust

be-faeda hain chaaragaron ki mashaqqaten
hote nahin hain ishq ke bimar-tan durust

chata hai ek umr luab-e-zaban-e-tegh
zakhmon ke muddaton mein hue hain dahan durust

badlun radif aur ki ji bhar gaya 'nasim'
ho aur tarah zulf-e-urus-e-sukhan durust


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close