kya hai unchai mohabbat ki batate jao panchhiyon ud ke yun hi khwab dikhate jao ped patthar ka jawab aaj bhi dete phal se chot khao bhale par rishte nibhate jao yun bhi paigham mohabbat ka pahunch jaega sath insan ke parindon ko basate jao shahr mein kaam bahut sare samay lekin kam mat karo baat magar hath hilate jao ek do mat-bhed to har ghar mein hua karte hain in ko neta ji hawa mat do bujhate jao ganw mein naw thi kaghaz ki safar aasan tha ek musafir hun yahan rah dikhate jao galiyan aise hi do mujh ko hamesha 'atish' ghalatiyan meri isi tarah batate jao