kya ho gaya hai gesu-e-KHamdar ko tere

kya ho gaya hai gesu-e-khamdar ko tere
aazad kar rahe hain giraftar ko tere

ab tu hai muddaton se shab-o-roz ru-ba-ru
kitne hi din guzar gae didar ko tere

kal raat chobdar samet aa ke le gaya
ek ghol tarah-dar-e-sar-e-dar ko tere

ab itni kund ho gai dhaar ai yaqin teri
ab rokta nahin hai koi war ko tere

ab rishta-e-mariz-o-masiha hua hai khwar
sab pesha-war samajhte hain bimar ko tere

bahar nikal ke aa dar-o-diwar-e-zat se
le jaegi hawa dar-o-diwar ko tere

ai rang us mein sud hai tera ziyan nahin
khushbu uda ke le gai zangar ko tere


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close