kya kahen wadon pe yaqin hum kyun late jate hain dhoka khana padta hai dhoka khate jate hain taqat-e-zabt-e-gham dil se rukhsat hoti jati hai arman nale ban ban kar lab par aate jate hain raaten aish-o-ishrat ki din dukh dard musibat ke aati aati aati hain jate jate jate hain aandhiyon aur bagulon se kam nahin tere diwane khak udate aate hain khak udate jate hain aaj sahar se ghair bahut haal tere bimar ka hai afsurda afsurda hai log jo aate jate hain mai-khana bhi padta hai shaikh ko rah-e-masjid mein mai-khana bhi aap aksar aate jate jate hain ghair to hain phir ghair 'wafa' ghairon ka shikwa hi kiya bad-hali mein apne bhi aankh churaate jate hain