waise to insan KHuda ka KHas KHalifa banta hai

waise to insan khuda ka khas khalifa banta hai
lekin jo haalat hain is ke un par rona banta hai

hum bhi tere sath khade hain sabz ruton ke manzar mein
phul aur kante sath rahen to phir baghicha banta hai

kitni tahziben mitti hain phir banti hai ek tahzib
kitni naslon ki mehnat se ek rawayya banta hai

main kahta hun qarya qarya dhund ke milta hai ek shakhs
main kahta hun dariya dariya mil kar qatra banta hai

saya kya ham-zad bhi aise waqt mein sath nahin deta
chhod ke jaane wale tera chhod ke jaana banta hai

har mauqa par pith ke pichhe khanjar ghonpne wala shakhs
samne jab aa jata hai to kitna achchha banta hai

felun felun karne se ashaar nahin bante hain dost
dhaaro dhaar lahu girta hai misra misra banta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close