kya KHabar thi aatishin aab-o-hawa ho jaunga

kya khabar thi aatishin aab-o-hawa ho jaunga
khak o khun ka mustaqil main silsila ho jaunga

ibtida hun aap-apni intiha ho jaunga
barishon ka qurb pa kar phir hara ho jaunga

jhadiyon ki ungliyan lapkengi gardan ki taraf
pahli shab ke aakhiri pal ki dua ho jaunga

aasman ki samt utthenge bagule aur main
rafta rafta ek maqam-e-gum-shuda ho jaunga

chilchilati dhup mein apna sarapa dekh kar
raat ki tanhaiyon ka waswasa ho jaunga

kuchh na kuchh khota chala jaunga ek ek mod par
aur phir main ek din tera kaha ho jaunga

khurdure aur khokhle bargad ka bazu tham kar
subh-e-simin ka maal-e-tai-shuda ho jaunga

jab koi jhukne lagega sham ki dahliz par
gumbad-e-mauhum ka main mubtana ho jaunga

phadphadate dekh kar taron mein kaftar ko 'nizam'
ungliyon ki uljhanon mein mubtala ho jaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close