kya kya na rang tere talabgar la chuke

kya kya na rang tere talabgar la chuke
maston ko josh sufiyon ko haal aa chuke

hasti ko misl-e-naqsh-e-kaf-e-pa mita chuke
aashiq naqab-e-shahid-e-maqsud utha chuke

kabe se dair dair se kabe ko ja chuke
kya kya na is do-rahe mein hum pher kha chuke

gustakh hath tauq-e-kamar yar ke hue
hadd-e-adab se panw ko aage badha chuke

kanan se shahr-e-misr mein yusuf ko le gae
bazar mein bhi husn ko aakhir dikha chuke

pahunche tadap tadap ke bhi jallad tak na hum
taqat se hath panw ziyaada hila chuke

hoti hai tan mein ruh payam-e-ajal se shad
din wada-e-visal ke nazdik aa chuke

paimana meri umr ka labrez ho kahin
saqi mujhe bhi ab to pyala pila chuke

diwana jaante hain tera hoshyar unhen
jame ko jism ke bhi jo purze uda chuke

be-wajh har dam aaina pesh-e-nazar nahin
samjhe hum aap aankhon mein apni sama chuke

us dilruba se wasl hua de ke jaan ko
yusuf ko mol le chuke qimat chuka chuke

uttha naqab chehra-e-zeba-e-yar se
diwar darmiyan jo thi hum us ko dha chuke

zer-e-zamin bhi tadpenge ai aasman-e-husn
betab tere gor mein bhi chain pa chuke

aaraish-e-jamal bala ka nuzul hai
andher kar diya jo wo missi laga chuke

do abru aur do lab-e-jaan-bakhsh yar ke
zindon ko qatl kar chuke murde jila chuke

majbur kar diya hai mohabbat ne yar ki
bahar hum ikhtiyar se hain apne ja chuke

sadmon ne ishq-e-husn ke dam kar diya fana
'atish' saza gunah-e-mohabbat ki pa chuke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close