kucha-e-dilbar mein main bulbul chaman mein mast hai har koi yan apne apne pairahan mein mast hai nashsha-e-daulat se munim pairahan mein mast hai mard-e-muflis haalat-e-ranj-o-mehan mein mast hai daur-e-gardun hai khudawanda ki ye daur-e-sharab dekhta hun jis ko main us anjuman mein mast hai aaj tak dekha nahin in aankhon ne ru-e-khumar kaun mujh sa gumbad-e-charkh-e-kuhan mein mast hai gardish-e-chashm-e-ghazalan gardish-e-saghar hai yan khush rahen ahl-e-watan diwana-pan mein mast hai hai jo hairan-e-safae-rukh halab mein aaina bu-e-zulf-e-yar se aahu khutan mein mast hai ghafil o hoshyar hain us chashm-e-mai-gun ke kharab zinda zer-e-pairahan murda kafan mein mast hai ek saghar do jahan ke gham ko karna hai ghalat ai khusha-tale jo shaikh-o-barhaman mein mast hai wahshat-e-majnun-o-'atish' mein hai bas itna hi farq koi ban mein mast hai koi watan mein mast hai