kya manzil-e-gham simaT gai hai

kya manzil-e-gham simat gai hai
ek aah mein rah kat gai hai

phir samne hai pahad si raat
phir sham se nind uchat gai hai

pahlu mein ye kaisa dard utha hai
ye kaun si rah kat gai hai

aap aae nahin to maut kambakht
aa aa ke palat palat gai hai

uth uth ke mariz-e-gham ne puchha
kya hijr ki raat kat gai hai

phir 'saif' hawa-e-yaad-e-rafta
har gham ki naqab ulat gai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close