kya nazara tha meri aankhon mein jab wo sara tha meri aankhon mein ek tufan tha kahin barpa aur dhaara tha meri aankhon mein haal kaisa ye tu ne kar dala kitna pyara tha meri aankhon mein kuchh bhi dekha nahin tha main ne jab har nazara tha meri aankhon mein chand jab tak nazar na aaya tha tara tara tha meri aankhon mein jab kiya ishq ka safar aaghaz kab kinara tha meri aankhon mein kitni aankhon se 'shaz' bachte hue koi haara tha meri aankhon mein