kya satate ho raho banda-nawaz

kya satate ho raho banda-nawaz
ki nahin khub ye khu banda-nawaz

be-sabab be-wajh o be-taqsir
is qadar ghussa na ho banda-nawaz

zulm nahaq na karo koi din
jiyo aur jiwne do banda-nawaz

mai-kasho bich na baitho hargiz
khun mera na piyo banda-nawaz

itr ko mal ke na aao hum pas
zabh karti hai ye bu banda-nawaz

kab talak apni kahe jaoge
baat meri bhi suno banda-nawaz

wajib-ul-qatl tumhaara main hun
aur ka nam na lo banda-nawaz

go ki sab mujh ko bura kahte hain
tum zaban sin na kaho banda-nawaz

kis ka munh hai jo tere sanmukh ho
ho na ho aaina ho banda-nawaz

ja teri chashm mein meri hai ja
sarw ho hai lab-e-ju banda-nawaz

wasf-e-kakul mein sada goya hai
jo zaban har sar-e-mu banda-nawaz

dil se 'hatim' ba-khuda banda hai
dur khidmat se hai go banda-nawaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close