kuchh batata nahin kya saneha kar baiTha hai

kuchh batata nahin kya saneha kar baitha hai
dil mera ek zamana hua ghar baitha hai

ye zamana mujhe bachcha sa nazar aane laga
jis tarah aa ke mere zer-e-nazar baitha hai

mujh se dekhi nahin jati koi jati hui chiz
tere uthte hi mere dil mein jo dar baitha hai

farq mushkil hai bahut dasht ke bashindon mein
aadmi baitha hai aisa ki shajar baitha hai

pul ki tamir ka saman nahin ishq ke pas
ruh baithi hai udhar jism idhar baitha hai

raat-bhar us ne hi kohram macha rakkha tha
kaisa masum sa ab dida-e-tar baitha hai

sare ahbab taraqqi ki taraf jate hue
'farhat-ehsas' sar-e-rahguzar baitha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close