kya tumhein yaad hai insan hua karte the

kya tumhein yaad hai insan hua karte the
ye bayaban kabhi gunjaan hua karte the

waqt tham jata tha dhadkan ki sada sunte hue
jab tere aane ke imkan hua karte the

sans ruk jati thi lahje mein kasak hoti thi
jis samay kuch ke elan hua karte the

nama-bar aata tha raste bhi take jate the
kya jawan waqt tha ruman hua karte the

jaane walon ko kabhi lautna hota hi na tha
multawi tab bhi yun paiman hua karte the

chashm-o-abru shab-e-mahtab jamal-e-saqi
kya tamanna bhare unwan hua karte the

bahr-e-atish mein rawan shauq ki naw rahti
ishq dushwar tha bohran hua karte the

dil jale kucha-e-jaanan ke fusun-zinon par
abr aata tha to mehman hua karte the

sang sah lete the sahra mein nikal jate the
qais us waqt ke nadan hua karte the

ye guman tha ki sawalon ke jawab aaenge
hum the fahham so arman hua karte the

waqt guzrega to haalat sudhar jaenge
waqt ke qahr se anjaan hua karte the

un dinon chand pe ek budhiya raha karti thi
tifl kya sada the hairan hua karte the

log jab taish mein aate the to chhup jate the
kya ajab tund wo haijaan hua karte the

kan sun lete the jazbon ki zaban ko aksar
fasle the magar aasan hua karte the

yaad-e-ayyam badi talkh zamin hai 'asim'
is zamin mein kabhi diwan hua karte the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close