kya ye aafat nahin azab nahin

kya ye aafat nahin azab nahin
dil ki haalat bahut kharab nahin

bud pal pal ki be-hisabi hai
ki muhasib nahin hisab nahin

khub gaw bajao aur piyo
in dinon shahr mein janab nahin

sab bhatakte hain apni galiyon mein
ta-ba-khud koi baryab nahin

tu hi mera sawal azal se hai
aur sajan tera jawab nahin

hifz hai shams-e-bazgha mujh ko
par mayassar wo mahtab nahin

tujh ko dil-dard ka nahin ehsas
so meri pindliyon ko dab nahin

nahin judta khayal ko bhi khayal
khwab mein bhi to koi khwab nahin

satar-e-mu us ki zer-e-naf ki hae
jis ki chaqu-zanon ko tab nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close