kyon kahun main ki sitam ka main saza-war na tha

kyon kahun main ki sitam ka main saza-war na tha
dil diya tha tujhe kis tarah gunahgar na tha

umr bhar mujh se thi har ek ko be-wajh khalish
kyunki main gulshan-e-alam mein koi khar na tha

kya na kuchh ho gaya ek ghairat-e-yusuf ke liye
kab mohabbat mein main ruswa sar-e-bazar na tha

kya ye karta mere zakhm-e-jigar-o-dil ka ilaj
charkh-e-be-rahm koi marham-e-zangar na tha

fard nikla fan-e-duzdi mein khayal-e-dilbar
us ka aana tha ki pahlu mein dil-e-zar na tha

kya bahalta gul-o-sumbul se chaman mein mera dil
wo teri zulf na tha ye tera rukhsar na tha

apni qismat hi ka shaki main mohabbat mein raha
shikwa-e-charkh na tha kuchh gila-e-yar na tha

hashr ke roz mere husn-e-gunah ka yarab
teri rahmat ke siwa koi kharidar na tha

teri aankhon ki mohabbat ka faqat tha use rog
warna kuchh nargis-e-bimar ko aazar na tha

tum ne mahfil mein jagah di use hasrat hai mujhe
ghair is aaw-bhagat ka to saza-war na tha

nargis us aankh ki bimar-e-gul us rukh pe nisar
bagh-e-alam mein kise ishq ka aazar na tha

ho gai rasm-e-mulaqat chalo bahs hai kya
tum khata par na the aur main bhi wafadar na tha

do pyalon mein hai saqi ke ajab kaif 'fahim'
aankhen milte hi wo tha kaun jo sarshaar na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close