kyun aankh se surKHi ab chhalki hui lagti hai

kyun aankh se surkhi ab chhalki hui lagti hai
ye nind ki rani bhi ruthi hui lagti hai

yaadon ka tasalsul hai ghanghor judai hai
sawan ki tarah ye bhi chhai hui lagti hai

sujhe na mudawa kyun khud mere masiha ko
zakhmon ki tarah chahat risti hui lagti hai

aawaz ye kis ne di phir yaad ye kaun aaya
be-tabi-e-dil kuchh kuchh sambhali hui lagti hai

guzri hai gulabon ko daman mein khizan bhar ke
har shakh-e-chaman lekin mahki hui lagti hai

bazar-e-mohabbat ke tajir hain sitam-pesha
ai 'bano' teri qimat lagti hui lagti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close