kyun chand ko samjhe koi paigham kisi ka

kyun chand ko samjhe koi paigham kisi ka
sahra ki kadi dhup bhi hai nam kisi ka

tuti hui ek qabr ke katbe pe likha tha
ye chain kisi ka hai ye aaram kisi ka

khwabon ke dariche mein ho jaise koi chehra
yun dard nikharta hai sar-e-sham kisi ka

ghazlon pe bhi hota hai kisi shakl ka dhoka
taron ko bhi deta hun kabhi nam kisi ka

tarikh ke phaile hue safhat pe jaise
zakhmon ki numaish hai faqat kaam kisi ka

hathon ki lakiren hain ye viran si rahen
sukhe hue patte hain ye anjam kisi ka

'jami' jo utar jae andheron ke badan mein
wo shoala-e-takhliq hai inam kisi ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close