mear-e-sukhan hun na koi azmat-e-fan hun badhte hue pathraw mein shishe ka badan hun is tarah mujhe dekh raha hai koi jaise main dur ke jalte hue khwabon ki thakan hun sau bar andheron ne jise qatl kiya hai takhliq ke mathe ki wahi ek kiran hun aawaz-e-anal-haq ki tarah sath hi tere ek umr se ai silsila-e-dar-o-rasan hun zakhmon ke jharoke mein koi shama jala kar kahta hai main kuchh aur nahin dard-e-watan hun hain jis ke liye aaj nae lafz-o-maani tarikh ka wo nashsha-e-sahba-e-kuhan hun sahra ka sulagta hua ehsas hun 'jami' zarron ki tarah dahr mein bikhra hua tan hun