kyun chup hain wo be-baat samajh mein nahin aata

kyun chup hain wo be-baat samajh mein nahin aata
ye rang-e-mulaqat samajh mein nahin aata

kya dad-e-sukhan hum tumhein den hazrat-e-naseh
hai sau ki ye ek baat samajh mein nahin aata

shaikh aur bhalai se kare tazkira tera
ai pir-e-kharabaat samajh mein nahin aata

saya bhi shab-e-hijr ki zulmat mein chhupa hai
ab kis se karen baat samajh mein nahin aata

mushtaq-e-sitam aap hain mushtaq-e-ajal hum
phir kyun ye ruka hat samajh mein nahin aata

roka unhen jaane se sar-e-sham to bole
kyun karte ho tum raat samajh mein nahin aata

dil ek hai aur is ke talabgar hazaron
den kis ko ye saughat samajh mein nahin aata

kyun-kar kahun 'ahsan' ki adu dost hai mera
ho nek wo bad-zat samajh mein nahin aata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close