kyun KHalwat-e-gham mein rahte ho kyun gosha-nashin bekar hue

kyun khalwat-e-gham mein rahte ho kyun gosha-nashin bekar hue
aakhir tumhein sadma kya pahuncha kya soch ke khud-azar hue

kyun saf kushada raston par tum thokaren khate phirte ho
kyun tira-o-tar si galiyon mein tum aan ke khush-raftar hue

kyun rasta chhod ke chalte ho kyun logon se katraate ho
kyun chalte phirte apne liye tum aap hi ek diwar hue

kya uthte baithte sochte ho kya likhte padhte rahte ho
is umr mein ye be-kaifi kyun kis waste nek-atwar hue

kyun aise safar par nikle ho manzil nahin jis ki koi bhi
kyun rah pe aisi chalte ho sae bhi jahan diwar hue

kyun tark-e-alaiq ko tum ne samjha hai ilaj-e-gham aakhir
dekho to wali sufi bhi yahan kis that ke duniya-dar hue

mayusi-e-paiham se tum ne yarana ye kaisa gantha hai
andoh-o-alam the jitne bhi aakhir wo gale ka haar hue

is kalba-e-ahzan se hargiz ubhrega na suraj koi bhi
kab khak sitara-bar hui kab sae sahar-asar hue

kab subh ke nale kaam aae kya girya-e-nim-shabi se mila
is qarya-e-khwab-e-faroshan mein tum kis ke liye bedar hue

bekar ulajhte rahte ho kyun ulti sidhi baaton mein
ye marhale wasl-o-hijran ke ab aise bhi kyun dushwar hue

us kuche ki rah to samjhao jis kuche mein jaana mushkil hai
us shakhs ka nam to batlao tum jis ke liye bimar hue

mushfiq ne ye baaten sun ke kaha baaten na huin ashaar hue
ye dard batane wale bhi kis shan ke khush-guftar hue

sad-shukr ki khush-uslubi se takmil ko pahunchi ruswai
muhtaj-e-dua the jo khud hi aakhir wo mere gham-khwar hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close