lafzon ke ye nagine to nikle kamal ke

lafzon ke ye nagine to nikle kamal ke
ghazlon ne khud pahan liye zewar khayal ke

aisa na ho gunah ki daldal mein ja phansun
ai meri aarzu mujhe le chal sambhaal ke

pichhle janm ki gadhi kamai hai zindagi
sauda jo karna karna bahut dekh-bhaal ke

mausam hain do hi ishq ke surat koi bhi ho
hain us ke pas aaine hijr-o-visal ke

ab kya hai arth-hin si pustak hai zindagi
jiwan se le gaya wo kai din nikal ke

yun zindagi se katta raha judta bhi raha
bachcha khelae jaise koi man uchhaal ke

ye taj ye ajanta elora ke shahkar
afsane se likhe hain uruj-o-zawal ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close