kyun mujh se gurezan hai main tera muqaddar hun ai umr-e-rawan khush hun main tujh ko mayassar hun main aap bahaar apni main apna hi manzar hun khud apne hi khwabon ki khushbu se moattar hun be-rang na wapas kar ek sang hi de sar ko kab se tera talib hun kab se tere dar par hun jab jaisi zarurat ho ban jata hun waisa hi khud apni tabiat mein shisha hun na patthar hun lamhon ke tasalsul mein marzi hai meri shamil main waqt ki shah-e-rag par rakkha hua khanjar hun aasuda hun main apne virana-e-hasti mein duniya tujhe milne ke imkan se bahar hun jab chahun simat kar main zarre mein sama jaun wusat mein to waise hi sahra hun samundar hun