lafzon ke baratne mein bahut sirf hua main ek misr taza bhi magar kah na saka main ek dast-e-rifaqat ki talab le ke badha mein amboh trahdar mein ek shor utha main aa tujh ko taqabul mein ulajhne se bacha lun sab kuchh hai teri zat mein baqi jo bacha main main aur kahan khud-nagri yaad hai tujh ko jab tu ne mera nam liya main ne kaha mein main ek bagula sa utha dasht-e-junun se roka mujhe duniya ne bahut par na ruka main ya mujh se guzari na gai umr-e-gurezan ya umr-e-gurezan se guzara na gaya mein malum hua mujh mein koi ramz nahin hai ek umr-e-riyazat se guzarne pe khula main jo raat basar ki thi mere hijr mein tu ne us raat bahut der tere sath raha main