teri be-iltifati kya koi kam hoti jati hai

teri be-iltifati kya koi kam hoti jati hai
tabiat rafta rafta khugar-e-gham hoti jati hai

hazaron chaara-gar hain aur gham badhte hi jate hain
jo surat dekhiye taswir-e-matam hoti jati hai

tasalli aap ne di farq hai han dil ki haalat mein
jo tham tham kar khalish hoti thi paiham hoti jati hai

jo chingari thi pahle ab wo bijli ban gai badh kar
mohabbat umr dhal jaane se kya kam hoti jati hai

nazar kya aap ki badli mizaj-e-zindagi badla
jo pahle jaan-faza thi mai wahi kam hoti jati hai

kisi ka gham samoe jata hai rag rag mein rang aise
ki apni zindagi husn-e-mujassam hoti jati hai

na ehsas-e-gham-e-jaanan na ehsas-e-gham-e-dauran
to kyun manus-e-girya chashm-e-pur-nam hoti jati hai

sab ulti pad rahi hain shayad aazadi ki tadbiren
ki zanjir-e-mohabbat aur mohkam hoti jati hai

'jigar' kya tab la sakta hai koi dil mein zakhmon ki
magar kuchh ghaib se tadbir-e-marham hoti jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close