lafzon ko saja kar jo kahani likhna ho zikr lahu ka bhi to pani likhna ab aks-e-mohabbat bhi hua hai kamyab is daur mein hai kaisi girani likhna go yaad hai ab tak mujhe gham ka mausam par thik nahin dil ki kahani likhna raftar-e-hawa tez hui hai ki nahin ye dekh ke pani ki rawani likhna piri ke nagar mein to hai kohram bapa kis haal mein hai shahr-e-jawani likhna guzre hue din ka ho agar zikr 'sadaf' guzri hai jo ek sham suhani likhna