milte nahin hain jab hamein gham-KHwar ek do

milte nahin hain jab hamein gham-khwar ek do
phirte hain hath mein liye akhbar ek do

shoridgi-e-sar ko main roungi ta-ba-kai
la kar mujhe bhi de koi diwar ek do

aankhon mein la ke dekh tabassum ki raushni
jite hain teri chashm ke bimar ek do

samjho hai khush-nasib wo sare jahan mein
lae jo dhund kar koi gham-khwar ek do

phirte hain mir khar koi puchhta nahin
ghaalib bhi bikte hain sar-e-bazar ek do

manus gham se khud ko 'sadaf' kar ke ji zara
har har qadam pe hain pae aazar ek do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close