laga raha hun har ek dar pe aaina bazar koi to dekhe sune dam bolta bazar saja to khub hai ab ke naya naya bazar zamana jaan to le kya hai zaiqa bazar parae jaan ki qimat faqat nazara nahin khudara band ho har din ka hadsa bazar yahi to hota hai shishe ke karobar ka hashr ujad gaya hai achanak hara-bhara bazar shab-e-siyah se khaif hai yun meri diwar saja ke baithi hai aangan mein sham ka bazar bas ek tabassum-e-dil se kharid lije ise jahan bhi jaiye is jaan ka hai khula bazar phir apne shor ki qimat samajh sakega 'qaus' na khwab dekh zara ja tahal ke aa bazar