lage jab pyas to rista lahu pine nahin deta udhadta khaal bhi meri mujhe sine nahin deta tamanna maut ki radd ho gai hai waqt ke dar se agar main zindagi mangun mujhe jine nahin deta khud apni shakl dekhe ek muddat ho gai mujh ko utha leta hai patthar tute aaine nahin deta dilon ko khinchne wala tarannum kho chuka un ka magar wo mere be-awaz sazine nahin deta zamana un pe 'yasir' nag ki manind baitha hai mujhe mere jawahir mere ganjine nahin deta