manzil pe le ke pahunchega azm-e-jawan mujhe

manzil pe le ke pahunchega azm-e-jawan mujhe
kah do na sath le ke chale karwan mujhe

sunta hun phir chaman mein hui khema-zan bahaar
aae na kyun qafas mein bhi yaad aashiyan mujhe

khoya hua hun un ke tasawwur mein is tarah
jaise sunae un ki koi dastan mujhe

ye jab bhi aai lai nawed-e-bahaar bhi
phir kyun bahaar se na ho pyari khizan mujhe

main ho gaya hun kab se nasheman se be-niyaz
kah de koi darae na barq-e-tapan mujhe

ek waqt tha chaman ke liye mar mite the hum
rahne usi chaman mein na de baghban mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close