lahu hamari jabin ka kisi ke chehre par

lahu hamari jabin ka kisi ke chehre par
ye rup-ras bhi sahi zindagi ke chehre par

abhi ye zakhm-e-masarrat hai na-shagufta sa
chhidak do mere kuchh aansu hansi ke chehre par

nawa ki gard hun mujh ko samet kar le ja
bikhar na jaun kahin khamushi ke chehre par

is inqilab pe kis ki nazar gai hogi
ghamon ki dhup khili hai khushi ke chehre par

hazimaton ke kis amboh mein hain gum hum log
koi waqar nahin aadmi ke chehre par

kharash-e-dard ka aaina hun mujhe dekho
ye bankpan bhi kahan hai kisi ke chehre par

bahut haris hain dida-waran-e-chehra 'faza'
naqab dal ke chal aagahi ke chehre par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close