lakh nadan hain magar itni saza bhi na mile

lakh nadan hain magar itni saza bhi na mile
chaarasazon ko meri sham-e-bala bhi na mile

hasrat-agin to hai nakaami-e-manzil lekin
lutf to jab hai ki khud apna pata bhi na mile

kuchh nigahon se gham-e-dil ki khabar milti hai
warna hum wo hain ki baaton se hawa bhi na mile

khwahish-e-dad-rasi kya ho sitam-gar se jahan
aankh mein shaiba-e-uzr-e-jafa bhi na mile

is qadar qaht-e-basirat bhi nahin ai waiz
hum buton ke liye niklen to khuda bhi na mile

ishq wo arsa-e-pur-khar hai hamdam ki jahan
zindagi ras na aae to qaza bhi na mile

kya qayamat hai tabiat ki rawani 'waris'
koi dhundhe to nishan-e-kaf-e-pa bhi na mile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close