larazta hai mera dil zahmat-e-mehr-e-daraKHshan par

larazta hai mera dil zahmat-e-mehr-e-darakhshan par
main hun wo qatra-e-shabnam ki ho khar-e-bayaban par

na chhodi hazrat-e-yusuf ne yan bhi khana-arai
safedi dida-e-yaqub ki phirti hai zindan par

fana talim-e-dars-e-be-khudi hun us zamane se
ki majnun lam alif likhta tha diwar-e-dabistan par

faraghat kis qadar rahti mujhe tashwish-e-marham se
baham gar sulh karte para-ha-e-dil namak-dan par

nahin iqlim-e-ulfat mein koi tumar-e-naz aisa
ki pusht-e-chashm se jis ki na howe mohr unwan par

mujhe ab dekh kar abr-e-shafaq-aluda yaad aaya
ki furqat mein teri aatish barasti thi gulistan par

ba-juz parwaz-e-shauq-e-naz kya baqi raha hoga
qayamat ek hawa-e-tund hai khak-e-shahidan par

na lad naseh se 'ghaalib' kya hua gar us ne shiddat ki
hamara bhi to aakhir zor chalta hai gareban par

dil-e-khunin-jigar be-sabr-o-faiz-e-ishq-e-mustaghni
ilahi yak qayamat khawar aa tute badakhshan par

'asad' ai be-tahammul arbada be-ja hai naseh se
ki aakhir be-kason ka zor chalta hai gareban par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close