samajh mein zindagi aae kahan se

samajh mein zindagi aae kahan se
padhi hai ye ibarat darmiyan se

yahan jo hai tanaffus hi mein gum hai
parinde ud rahe hain shakh-e-jaan se

makan-o-la-makan ke bich kya hai
juda jis se makan hai la-makan se

daricha baz hai yaadon ka aur main
hawa sunta hun main pedon ki zaban se

tha ab tak marka bahar ka darpesh
abhi to ghar bhi jaana hai yahan se

zamana tha wo dil ki zindagi ka
teri furqat ke din laun kahan se

fulan se thi ghazal behtar fulan ki
fulan ke zakhm achchhe the fulan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close