lawon ke jashn-e-zar mein KHizan ko haal aaega

lawon ke jashn-e-zar mein khizan ko haal aaega
mere shajar ke sae par agar zawal aaega

darun-e-shahr-e-jehl agar jalengi haq ki mishalen
to khwab-khurda saato tumhein malal aaega

juda juda raha hai kya faqir rah nind mein
ki zindagi ke bhaw par na ab uchhaal aaega

pae farar rishwaten ata hon pasban ko
fasil-e-shahr se pare yahi nikal aaega

khabar na thi ki zat se karunga jab mukalima
to har jawab par koi naya sawal aaega

dimagh-o-dil se muflisho ye wahima nikal do
amir-e-shahr nekiyan kuen mein dal aaega

uruj ke surur mein jo gharq hain ye bastiyan
yahan zawal aaega to be-misal aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close