dil TuTne ka band ye ranj-o-malal kar

dil tutne ka band ye ranj-o-malal kar
ab phenkna ye kanch kahan hai khayal kar

masruf dhundne mein hai koi shikar ko
baitha hai koi apna yahan jal dal kar

jis aadmi ko zahr bhi pachta tha ai tabib
pine laga hai aaj wo pani ubaal kar

nasur ho gaya tha ye na-qabil-e-rafu
dil phenkna pada hamein aakhir nikal kar

iman ko bhi apne jahan se bachaiye
locker mein mal-o-zar hi na rakhiye sambhaal kar

gar puchhna hi hai to zamane ka haal puchh
bare padosiyon ke na hum se sawal kar

'jaanib' nasib wale to chahenge bas yahi
ho faisle jahan mein sikke uchhaal kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close