lazzat-e-sang na puchho logo umr agar hath aae phir

lazzat-e-sang na puchho logo umr agar hath aae phir
majnun ban kar sahra sahra koi use ganwae phir

hum ne to is ek aas par sare dip jalae phir
raat kabhi sath aae kisi ke shayad aur na jae phir

yun bhi apna ahd-e-jawani khwab tha dilkash chehron ka
aur ghubar-e-waqt ne to wo chehre bhi dhundlae phir

sab ke apne apne dukh hain sunne wala koi nahin
sunne wala koi na ho to kis ko koi sunae phir

'ishqi' tum ne umr guzari hai ummid-e-bahaaran mein
aur ayyam-e-bahaaran bhi gar tum ko ras na aae phir


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close