leTa hua hun saya-e-ghurbat mein ghar se dur

leta hua hun saya-e-ghurbat mein ghar se dur
dil se qarin hain ahl-e-watan aur nazar se dur

jab tak hai dil rahin-e-maal-o-asir-e-aql
rahna hai tujh se aur teri rahguzar se dur

ai kaif un ki mast nigahon mein chhup ke aa
ai dard-e-dam zadan mein ho mere jigar se dur

ek din ulatne wali hai zahid bisat-e-zohd
kab tak rahega dil nigah-e-fitna-gar se dur

wo koi zindagi hai jawani hai wo koi
ai dost jo hai tere jamal-e-nazar se dur

kya aai tere ji mein ki taqdir yun mujhe
phenka hai la ke wadi-e-ghurbat mein ghar se dur

ai husn-e-be-panah batae koi mujhe
duniya ki kaun chiz hai tere asar se dur

allah re nasib ki pai hai wo fughan
jo umr bhar rahi hai fareb-e-asar se dur

'altaf' naz apni gadai pe hai mujhe
daman hai us ka saya-e-lal-o-gohar se dur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close