dhup haalat ki ho tez to aur kya mango

dhup haalat ki ho tez to aur kya mango
kisi daman ki hawa zulf ka saya mango

us se kya kam hai kisi ke rukh-e-zeba ki ziya
mah-o-khurshid se kyun un ka ujala mango

jis ke baad aur na rah jae tamanna koi
mangna ho jo khuda se wo tamanna mango

khub hai dard ki lazzat ye badi daulat hai
zakhm-e-dil ke liye marham na mudawa mango

jis se chhai hui haalat ki zulmat chhat jae
tum to khurshid ho khud se wo ujala mango

gar shab-e-gham ko sahar chaho banana 'asi'
kisi salma se ziya-e-rukh-e-zeba mango


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close