libas-e-zist kabhi yun bhi tera darshan ho

libas-e-zist kabhi yun bhi tera darshan ho
saji sajai hui jaise koi dulhan ho

ye qaht-e-sher pada ho na qaht-e-gham ke sabab
charagh itna hi jalta hai jitna indhan ho

ye main hi hun jo udasi nikalta hun teri
har ek fasil mein lazim nahin ki rauzan ho

tu apne khwab meri aankh se na dekha kar
baratne ke liye behtar hai apna bartan ho

ajib jaldi thi bachpan mein kab bade honge
bade hue hain to ji chahta hai bachpan ho

kadi jo tuti to sabit nahin rahi zanjir
aham hai wo bhale chhota sa koi bandhan ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close