mujhe na dekho mere jism ka dhuan dekho

mujhe na dekho mere jism ka dhuan dekho
jala hai kaise ye aabaad sa makan dekho

na chat jae kadi dhup surkhiyan lab ki
shajar ki chhanw kisi ghar ka saeban dekho

mohabbaton ki tasalli bahut zaruri hai
sitam ke shahr mein ek yar-e-mehrban dekho

koi bharosa nahin abr ke barasne ka
badhegi pyas ki shiddat na aasman dekho

tumhaara waqt nahin sach ke bolne walo
na chup rahoge to kat jaegi zaban dekho

koi hasin abhi raste se guzra hai
lagao aankh se qadmon ke jo nishan dekho

hunar to roz hi bikta hai chand sikkon mein
kharid le na zamana tumhein aman dekho

nahin hai tum mein saliqa jo ghar banane ka
to 'ashk' jao parindon ke aashiyan dekho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close