log baiThe hain yahan hathon mein KHanjar le kar

log baithe hain yahan hathon mein khanjar le kar
tum kahan aa gae ye shakh-e-gul-e-tar le kar

bhige bhige se mere ghar ke dar-o-baam mile
shayad aaya tha yahan koi samundar le kar

ab mujhe aur kisi shai ki tamanna na rahi
mutmain hun teri dahliz ka patthar le kar

meri qismat mein sulagne ke siwa kuchh bhi nahin
kya karoge bhala tum mera muqaddar le kar

khushk honton ne mere jism ka ras chus liya
ab koi aae to kya faeda saghar le kar

sidhe raste koi aata hi nahin meri taraf
gardish-e-waqt bhi aati hai to chakkar le kar

apne dil ko na kare ab koi halka 'azar'
warna main jaunga ek bojh sa dil par le kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close