tera ehsas-e-KHudi hoga na jab tak bedar

tera ehsas-e-khudi hoga na jab tak bedar
ghair mumkin hai khulen tujh pe azal ke asrar

khud mashiyyat teri ek ek ada par ho nisar
apni surat ka mayassar jo tujhe ho didar

kitne jalwe tujhe labbaik kahenge nadan
chir kar dekh zara sina-e-hasti ek bar

apni quwwat se tu waqif hi nahin hai warna
arsh se bhi kahin uncha hai tera izz-o-waqar

maut sab jis ko samajhte hain zamane wale
tere pairahan-e-hasti ka hai dhundla sa ghubar

sab tere zer-e-nagin hain falak-o-mah-o-nujum
teri gardish pe hai har ek ki gardish ka madar

phunk de khar-o-khas-e-alam-e-zahir pahle
khud nazar aaega har shai mein rukh-e-pur-anwar

husn-e-sad-rang se wo kaif-e-nazar hasil kar
jis se ho jaen dil-o-ruh abad tak sarshaar

ek rawish bhi na guzargah-e-khizan ho jis ki
tujh se mumkin ho to paida kar ek aisi bhi bahaar

sar-e-amwaj-e-hawadis ko samajhne wale
kar-e-asan ko bana lete hain kar-e-dushwar

lakh saman hon ishrat ke muhayya lekin
dil si shai ke liye duniya mein sukun hai na qarar

zindagi bhar jinhen kahti rahi duniya kafir
ab zamane mein kahan 'arzu' aise din-dar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close