lubha rahi to hai duniya chamak damak ki mujhe

lubha rahi to hai duniya chamak damak ki mujhe
magar hayat gawara nahin dhanak ki mujhe

hamesha apni ladai main aap ladta hun
nahin rahi kabhi hajat kisi kumak ki mujhe

bahut dinon se zaman o makan hail hain
ki aas bhi na rahi ab teri jhalak ki mujhe

mere qalam ki jo zad mein ye bahr o bar aate
duhai dene lage nan aur namak ki mujhe

mera guman yaqin mein badalta rahta hai
samajhne wale bhale hi samajh len shakki mujhe

chunanche gardish-e-ayyam thak ke baith gai
main sakht-jaan hun kya pisti ye chakki mujhe

isi liye to main nimta raha hun kaam apne
main jaanta hun ki mohlat hai aaj tak ki mujhe

ada kiya usi sikke mein be-jhijak main ne
hui jahan kahin mahsus bu hitak ki mujhe

kharab-haal ye be-'khair' o be-adab ho kar
bhatak na jae kahin fikr hai sadak ki mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close