tumne bhule se kabhi ye nahin socha hoga

tum ne bhule se kabhi ye nahin socha hoga
hum jo bichhdenge to kya haal hamara hoga

aa gae ho to ujala hai meri duniya mein
jaoge tum to andhera hi andhera hoga

ye na kahiye ki meri aankh se tapka aansu
chhodiye bhi koi tuta hua tara hoga

kya khabar thi ki tere shahr se pahle ai dost
raat aa jaegi aur rah mein dariya hoga

khwab lab khwab jabin khwab ada khwab haya
itne khwabon mein koi khwab to sachcha hoga

dil ke aaine mein kar aks-e-tamanna na talash
tu muqabil hai to hairat ke siwa kya hoga

paikar-e-ishq to farhad bhi tha majnun bhi
aur wo shakhs ki tu ne jise chaha hoga

aaj to khush hun bahut khush hun bahut hi khush hun
is tasawwur mein main kanp uthta hun kal kya hoga

ek wo hain jinhen khalwat mein bhi lutf-e-jalwat
hae wo shakhs jo mahfil mein bhi tanha hoga

fikr anjam-e-mohabbat ki hai tauhin ai 'lais'
wahi hoga meri qismat mein jo likkha hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close